Monday, August 30, 2004

Poetic Jewels : Continued

Others from Parikrama and my favourite.

Jaag Ri

Beeti Vibhavari Jaag Ri

Ambar Panghat Mein Bhigo Rahi Hai --
Taraghat Usha Nagri

Khag Kul Kul-kul Sa Bol Raha,
Kislaya Ka Anchal Dol Raha Hai,
Lo Yeh Latika Bhi Bhar Layi --
Madhu Mukul Naval Ras Gagri

Adharon Mein Rag Amand Piye,
Alkon Mein Malyaj Band Kiye,
Too Abtak Soyi Hai Aali --
Ankhon Mein Bhare Vihag Ri

-Jai Shankar Prasad


Pushp Ki Abhilasha

Chah Nahin Mai SurBala Ke
Gehnon Mein Guntha Jaaon
Chah Nahin Premi Mala Mein
Bindh, Pyari Ko Lalchaon

Chah Nahin Samraton Ke
Shav Par, He Hari Dala Jaaon
Chah Nahin Devon Ke Sar Par
Chadhon, Bhagya Par Itraoon

Mujhey Tod Lena Banmali,
Us Path Par Tum Dena Phaink
Matra Bhoomi Per Sheesh Chadhaney,
Jis Path Jaayen Veer Anek


Added later
Now, in his own handwriting
pushp1.gif

-Makhan Lal Chaturvedi

My Previous Post On Poems - Poetic Jewels

Labels: , ,

|