Thursday, November 16, 2006

Phir Kya Hoga Uske Baad ?

This simple and nostalgic poem, which I had read long long ago, probably in my sister's CBSE book, is written by noted poet and writer Balkrishna Rao, who also edited the Hindutan Times group's popular Hindi magazine Kadambiri in its early days.

The poem is about the fact that how curious are children, and with their innocent questions, how easily they provide answers to difficult problems of life. Balkrishna ji has used very lovely Hindi to bring about this conversation, it is the Hindi which we have lost back to textbooks.

The poem also reminds us that we have to be very careful with our answers and responses as they have deep rooted effect on children's mind.

Phir Kya Hoga Uske Baad?
Utsuk Hokar Shishu Ne Poochha,
Maan, Kya Hoga Uske Baad?

Ravi Se Ujjval, Shashi Se Sundar,
Nav-Kislay Dal Se Komaltar
Vadhu Tumhari Ghar Aayegi
Us Vivah Utsav Ke Baad

Palbhar Mukh Par Smiti Rekha
Khel Gayi Phir Maan Ne Dekha
Utsuk Ho Kah Utha Kintu Woh
Phir Kya Hoga Uske Baad?

Phir Nabh Se Nakshatra Manohar
Swarga Lok Se Utar Utar Kar
Tere Shishu Banne Ko Mere
Ghar Aayenge Uske Baad

Mere Naye Khiloune Lekar
Chale Na Jayein Ve Apne Ghar
Chintit Hokar Utha Kintu Woh
Poochha Phir Kya Hoga Uske Baad?

Ab Maan Ka Jee Oob Chuka Tha
Harsh Shranti Mein Doob Chuka Tha
Boli Phir Main Boodhi Hokar
Mar Jaoongi Uske Baad

Ye Sun Kar Bhar Aaye Lochan
Kintu Ponchhkar Unhein Usi Kshan
Sahaj Kautuhal Se Phir Shishu Ne
Poochha, Maan Kya Hoga Uske Baad?

Kavi Ko Balak Ne Sikhlaya
Sukh Dukh Hai Palbhar Ki Maya
Hai Anant Tatwa Ka Prashna Yeh
Phir Kya Hoga Uske Baad?

Labels: ,

|