Tuesday, October 12, 2004

Is Ka Gila Nahin..

A beautiful Nazm by Trilok Chand 'Mehroom'. A bit tough Urdu, but I have included meaning of certain toughies.

Is kaa Gilaa Nahin Ki Duaa Be-Asar Gayi
Ik Aah Ki Thii Woh Bhi Kahin Jaa Ke Mar Gayi

Ai Hum-Nafas Na Poonchh Jawani Ka Maajara
Mauj-E-Naseem Thi, Idhar Aayi, Udhar Gayi

Daam-E-Gam-E-Hayaat Mein Ulajhaa Gayi Ummeed
Hum Ye Samajh Rahe The Ki Ehasaan Kar Gayi

Is Zindagi Se Hum Ko Na Duniya Mili Na Deen
Taqadeer Kaa Mushaahidaa Karate Guzar Gayi

Bas Itana Hosh Thaa Mujhe Roz-E-Vidaa-E-Dost
Viiranaa Tha Nazar Mein Jahan Tak Nazar Gayi

Har Mauj Aab-E-Sindh Hui Waqf-E-Pech-O-Taab
"Mehroom" Jab Watan Mei Humari Khabar Gayi


[Gilaa=complaint]
[Hum-Nafas=friend; Maajara=happenings]
[Mauj=wave; Naseem=a gentle breeze]
[Daam=net; Hayaat=life]
[Deen=religion; Mushaahidaa=inspection]
[Aab-E-Sindh=waters of the river Sindh (Indus)]
[Waqf-E-Pech-O-Taab=extremely angry]
|