Thursday, July 15, 2004

Nazuk Si Ladki

There are songs and there are songs. I have listened and enjoyed many a songs but this one is special. It's mesmerizing. Penned, tuned and sung in such a manner that while listening, it involves your complete attention. You simply cannot do anything else.

Song is not that popular because it's from a forgettable film called Shankar Hussain with some even more forgettable actors. Rafi's voice is Godly, Khayyam's tunes are soothing, while lyrics by Kamal Amrohi(who was, incidentally Meena Kumari's husband and Pakeeza's director and dialogue writer) are simple and phenomenal. Enjoy them.


Kahin Ek Masoom Nazuki Si Ladki
Bahut Khoobsoorat, Mangar Sanwli Si, Bahut Khoobsoorat..
Mujhey Apne Khwabon Ki Bahon Mein Paaker, Kabhi Neend Mein Muskarati To Hogi
Usi Neend Mein Kas-masakas-kasa-ker, Sirahney Se Takiya Girati To Hogi
Kahin Ek Masoom Nazuki Si Ladki..

Wahi Khwaab Din Ki Mudheron Per Aaker, Usey Man-Hi-Man Mein Lubhate To Honge
Kayi Saaz Seeney Ki Khamoshion Mein, Meri Yaad Se Jhanjhanti To Hongey
Woh Besakhta Dheemey Dheemey Suron Mein, Meri Dhun Mein Kuchh Gungunati To Hogi
Kahin Ek Masoom Nazuki Si Ladki..

Chalo Khat Likhe Ji Mein Aata To Hoga, Magar Ungliyan Kap-kapati To Hongi
Kalam Haanth Se Chhooot Jata To Hoga, Umangey Kalam Fir Uthati To Hongi
Mera Naam Apni Kitabon Pey Likh Ker, Woh Daton Se Ungli Dabati To Hogi
Kahin Ek Masoom Nazuki Si Ladki..

Zuban Se Kabhi Uff Nikalti To Hogi, Badan Dheemey Dheemy Sulagta To Hoga
Kahin Ke Kahin Paanv Padtey To Hongey, Zamin Per Duppata Latakta To Hoga
Kabhi Subah Ko Shaam Kehti To Hogi, Kabhi Raat Ko Din Batati To Hogi

Kahin Ek Masoom Nazuki Si Ladki, Bahut Khoobsoorat, Mangar Sanwli Si.


Those who want listen to the song, you can find it here.

Labels: ,

|