Wednesday, September 22, 2004

Gazal - Ali Sardar Zaafri

These are two short but beautiful poems by Ali Sardar Zaafri, the famous poet and lyricist. He had received Gyanpeeth(Jnapeeth) Award for the year 2000. He died shortly after.

Jhalak

Sirf Leharaa Ke Rah Gayaa Aanchal
Rang Ban Kar Bikhar Gayaa Koi

Gardish-E-Khoon Ragon Mein Tez Hui
Dil Ko Chhookar Guzar Gayaa Koi

Phool Se Khil Gaye Tasavvur Mein
Daaman-E-Shauq Bhar Gayaa Koi


Gam Kaa Sitaaraa

Meri Vaadi Mein Woh Ik Din Yun Hi Aa Nikalee Thee
Rang Aur Noor Ki Behti Hui Dhaaraa Ban Kar


Mehefil-E-Shauq Mein Ik Dhoom Machaa Di Us Ne
Khalvat-E-Dil Mein Rahi Anjuman-Aaraa Ban Kar


Sholaa-E-Ishq Sar-E-Arsh Ko Jab Chhoone Lagaa
Ud Gayee Woh Mere Seeney Se Sharaaraa Ban Kar


Aur Ab Merey Tasavvur Kaa Ufaq Roshan Hai
Woh Chamakati Hai Jahaan Gam Kaa Sitaaraa Ban Kar


[Mahafil-E-Shauq = Gathering of Love]
[Khalvat-E-Dil = Solitude/Loneliness of the Heart]
[Anjuman-Aaraa = Person who adorns a meeting]
[Sar-E-Arsh = Seventh heaven]
[Sharaaraa = Spark]
[Tasavvur = Imagination]
[Ufaq = Horizon]

My Previous Post On Poems - Dono Or Prem Palta Hai
|